Topic: Urdu Source: pp 32–34 of Ghazaliyat-e-Zamin He wrote the nazm
Faryaad-e-Urdu at a time when English was becoming increasingly dominant. Here are a few selected couplets that appear in the introduction written by Fatima Hasan. Several of these were read by
Ali Fazal at the Jashn-e-Rekhta festival on 15 December 2024 . aap se faryaad karne aai hai Urdu zabaaN gar munaasib ho to hazrat sun leiN uski daastaaN आप से फ़रियाद करने आई है उर्दू ज़बान गर मुनासिब हो तो हज़रत सुन लें उसकी दास्ताँ yaad haiN vo bhi jab aashiq zamaana tha mira bachche bachche ki zabaaN par bhi fasaana tha mira याद है वो भी जब आशिक जमाना था मेरा बच्चे-बच्चे की ज़बां पर भी फ़साना था मेरा is sire se us sire tak mulk meN phaili thi maiN jis ka kul hindostaaN majnuuN tha aur Laila thi maiN इस सिरे से उस सिरे तक मुल्क में फैली थी मैं जिस का कुल हिंदोस्तां मजनूं था और लैला थी मैं mujh pe marte the musalmaaN mujh pe hindu the nisaar faarsi bhi jheNpti thi dekh kar mera singaar मुझ पे मरते थे मुसलमान, मुझ पे हिंदू थे निसार फ़ारसी भी झेनपती थी देख कर मेरा सिंगार aap angrezi ka aaKhir kyon tatabboh kiijiye aur ilzaam-e-jahaalat apne sar kyoN liijiye आप अंग्रेजी का आख़िर क्यों ततब्बो कीजिये और इल्ज़ाम-ए-जहालत अपने सर क्यों लीजिए ik behn hindi hai meri jiska ab chamka hai bhaag hashr tak qaayam rahe parmaatma iska suhaag एक बहन हिंदी है मेरी जिसका अब चमका है भाग हश्र तक कायम रहे परमात्मा इसका सुहाग Ghair mulki lafz-jaari jo zabaanoN meiN nahiiN isse to hindi ke aasaaN lafz behtar haiN kahiiN ग़ैर मुल्की लफ़्ज़-जारी जो ज़बानों में नहीं इससे तो हिंदी के आसान लफ्ज बेहतर हैं कहीं
Topic: Zindagi Source: Page 49 of Ghazaliyat-e-Zamin jumbish hi ko zamaane meiN kahte haiN zindagi hai maut ek naam sukuun aur qaraar ka जुम्बिश ही को ज़माने में कहते हैं ज़िन्दगी है मौत एक नाम सुकून और क़रार का
Topic: Eschewing communal strife Source:Page 7 of Ghazaliyat-e-Zamin sun ke dair-o-haram ke jhagRoN ko ham ne donoN ko hi salaam kiyaa सुन के दैर-ओ-हरम के झगड़ों को हम ने दोनों को ही सलाम किया
Topic: On Mahatama Gandhi's death Source:Page 35 of Ghazaliyat-e-Zamin bazm-e-aalam ho kyon tiira-o-taar shama-e-insaaniyat khamosh hai aaj बज़्म-ए-आलम हो क्यों तीरा-ओ-तार शमा-ए-इंसानियत खामोश है आज
Topic: Ishq Source:Page 86 of Ghazaliyat-e-Zamin ishq hi vo marz hai k duniya meN jis ka baRhna bhi na-gavaar nahiiN इश्क़ ही वो मर्ज़ है दुनिया में जिस का बढ़ना भी नागावार नहीं
Source:Page 56 of Ghazaliyat-e-Zamin dard-e-firaaq, daaGh-e-jigar, aah-e-na-rasaa shikva nahiiN hai, ishq ne jo kuch diya, diya दर्द-ए-फ़िराक़, दाग़-ए-जिगर, आह-ए-ना-रसा शिकवा नहीं है, इश्क ने जो कुछ दिया, दिया
Source:Page 77 of Ghazaliyat-e-Zamin umr bhar duuNga duayeN ishq-e-Khush anjaam ko dil mira dil ho gaya Gham aashna hone ke baad उमर भर दूंगा दुआएं इश्क-ए-खुश अंजाम को दिल मेरा दिल हो गया गम आशना होने के बाद
Source:Page 106 of Ghazaliyat-e-Zamin tamaam umr kaTi apni yaas-o-hirmaaN meN qafas meN chain na aaraam tha gulistaaN meN तमाम उमर कटी अपनी यास-ओ-हिरमान में कफ़स में चैन न आराम था गुलिस्तां में
Topic: Motivational Source:Page 155 of Ghazaliyat-e-Zamin riyaazat ka milega phal tujhe bhi Gham na kha Zamin tiri shaaKh-e-tamanna bhi kisi din baarwar hogi रियाज़त का मिलेगा फ़ल तुझे भी ग़म न खा ज़मीन तेरी शाख-ए-तमन्ना भी किसी दिन बारवर होगी ==Selected Ghazals celebrating Zamin==